Bus..Chahta hu...

Main Baadal Banna chata hu..Main hawa me udna chahta hu...
Jise koi dor kaat na sake..wo patang banna chahta hu...
Jub chahu tub barsu main..jub chahu tub bhigo du main..
Main aisi fitrat,aisi shohrat paana chahta hu...

Main is jameen per roj halaat badalte dekhta hu ..
Main is dunia me har wakt, wakt badalte dekhta hu..
Is bheed bhari jameen se behtar paata hu us aasmaan ki tanha unchaiyon ko..
Main apni soch badal ker ek mukaam paana chahta hu..

Jub kabhi bhi barasti hai boondein baadal ke paani ki..
tub gumgeen mahaul bhi rangeeniyat me tabdeel ho jaata hai..
Main is marti dunia ke bedum logo ke chehre per
Khud ki shakhsiyat se ek aisi hi muskaan dekhna chahta hu..

Main jaanta hu ki aaj yaha zindagi ek Daud ban chuki hai..
Main paata hu ki insaaaniyat khud ko bhool kar haivaniyat ka roop aikhtiyaar kar chuki hai..
Dum ghutne lagta hai kabhi kabhi mera aaj ke samaaj ko dekh kar..
Main is dhokhe bhare rangmanch ko thoda sa badalna chata hu..

Ek taraf Mobile Zindagi..Ek taraf Bhookh se bilakhte gareeb log..

Ek taraf Internet ki taakat ..ek taraf apne bucho se thukraaye boodhe..

Ek taraf Ameer logo ke haatho se udta hua paisa..Ek taraf ek baap ka paai paai jodker apni beti ki shaadi ka sapna..

Ek taraf ek Maa ka apni beti per vishwaas..Ek taraf usi beti ka vishwaas ka mazaak bana ker modern n open life jeena..

Ek taraf ek baap ka bharosda ki uska beta uski taakat banega..ek taraf usi bete ka ek ladki ke chalte apne maa baap ko ghar se bedakhal karna..

Kuch cheezein hamare samaaaj ka aisa hissa ban gayi hai ki unko alag karna jaruri bhi hai..aur mushkil bhi..
Main khud ko bebas paaker bus khud ka karam karna chaahta hu..


Khush hu main apne karmo se bahut..Khush hu main apne haalaato se bahut..
Per dunia me faili gandgi ko dekh ker apni khushi parayi si lagne lagti hai
Koshish karta hu roj main kuch cheezo ko andekha karni ki..
Per kuch rote chehre apni nigaaho se hata nahi paata hu..

Main thak sa jaata hu is dunia ke chakkaar me ghoom kar..
Main kabhi kabhi bhatak sa jaata hu is dunia ke moh me pad ker..
Per koshish karta hu ki jaisa hu waisa rahu..
Main ab in logo se alag apni ek pehchaan banana chahta hu..

Lagta hai ki ya to main purana hu ya yeh dunia bht nayi...
Lagta hai ki main bht galat hu ..aur ye dunia bht sahi..
Main apni soch ke daayre ko dunia se bachakar
Apna ek alag jameen ,ek alag falak banana chahta hu..

Main Baadal Banna chata hu..Main hawa me udna chahta hu...
Jise koi dor kaat na sake..wo patang banna chahta hu...
Jub chahu tub barsu main..jub chahu tub bhigo du main..
Main aisi fitrat aur aisi shohrat paana chahta hu...

Comments

Popular Posts